Sunday 4 December 2016

Paytm Kya Hai? Aur Paytm Ko Kaise Use Karte Hai?

Namaskar Dosto Main Kunal Soni Swagat Karta Hoo Aaj Ke Is Post Me Aapsabo Ka. Dosto Aaj Main Aapko Bataunga Ki Paytm Kya Hai Aur Ise Kaise Use Karte Hai.

To Dosto Sabse Pahle Aapko Bata Doo Ki Paytm Ne Apni Suruat Mobile Recharge Se Shuru Ki Thi Aur Aaj Ke Date Me Sampurna Market Place Par Iska Kabza Haik. Lagbhag 100 Million Log Aaj Is Service Se Jur Chuke Hai Aur Ye Bahut Hi Safe Aur Biswasniya Service Hai. Agar Flight Ki Ticket Book Karani Hai, Movies Ki Ticket Book Karani Hai, Ya Fir Bijli Ka Bill Payment Karni Hai. Ye Sare Kam Bas Aapki Ungliyo Ki Ishare Par Hone Wali Hai Kahi Bhi Aapko Jana Nahi Hai Sare Kam Ghar Baithe Bas Ek Mobile Se Karni Hai. Aaj Ke Daur Me Har Kishi Ke Pas Android Phone Hota Hai Aur Android Hai to Iske Sath Usme Internet Bhi Hota Hai. To Ye Kam Un Logo Ke Liye Kafi Aashan Hai Jo Logo Ko Internet Ke Bare Me Thori Bahut Jankari Hai Ya Fir Nahi Bhi Hai To Bas Is Post Ko Antim Tak Padhiye Sare Kam Aashan Ho Jayenge.
 
     Hamare Sahar Me Abhi Tak Log Paytm Se Acche Se Rubaru Nahi Ho Paye Hai Lekin Aapko Bata De Ki Dilli, Mumbai, Kolkata Jaise Metro Sahar Me Har Koi Paytm Use Karta Hai Jaise Sabji Wale, Rashan Wale, Auto Wale Har Koi Paiso Ki Lenden Paytm Ke Jariye Karte Hai Isi Ko Cashless Pranali Kahte. Aur Hamare Pradhanmantri Sri Narendra Modi Jee Bhi Isi Prachalan Ko Badhava De Rahe Hai. Bare Sahro Me To Iska Prachalan Shuru Ho Chuka Hai Ab Chote Sahro Me Iska Prachalan Shuru Honi Baki Hai. Bas Logo Ko Iske Bare Me Thora Jankari Deni Hai. Isi Jankari Ke Aabhao Me To Ham Banko Ke Samne Lambi Lambi Lino Me Khare Hokar Paise Nikalte Hai Lekin Sari Jarurte Ek Din Me Puri Nahi Hoti Hai. Agar Paytm Se Jure Hote To Bas Ungliyo Ke Ishare Par Apna Paisa Banko Se Nikal Lete Aur Jaha Chahe Kharch Kar Sakte The. To Aaj Ke Is Post Me Main Aapko Isi Ke Bare Me Bataunga. Ki Paytm Se Paiso Ka Istemal Kaise Karenge.

    Dosto Aapko Bata De Ki Paytm Paiso Ki Lenden Ka Ek Online Pranali Hai Aur Jo Bahut Hi Suvidhajanak Aur Aashan Hai. Iska Upyog Karke Ham Kafi Time Bacha Sakte Hai. To Main Aapko Batate hai Ki Iske Jariye Aap Kya Kya Kar Sakte Hai...

1. Aap Ghar Baithe Mobile Recharge Kar Sakte Hai.
2. Bijli Ka Bill Bhar Sakte Hai.
3. DTH Ya Fir Koi Dishtv Ka Recharge Kar Sakte Hai Kishi Bhi Company Ka Ho.
4. Online Shoping Kar Sakte Hai.
5. Online Movie Ticket Book Kar Sakte Hai.
6. Bus, Flight, Train Aadi Ki Ticket Book Kar Sakte Hai.

Aur Sabse Bare Fayda To Ye Hai Ki Har Transection Par Aap Acchi Khasi Cashback Pa Sakte Hai Jo Ki Aapki Alag Se Benifit Hai.  Aap Ye Sare Kam Bas Ghar Baithe Khud Se Apni Mobile Se Kar Sakte Hai. Aur Ise Apnane Ke Baad Jo Aaapko Fayde Hai Wo Is Prakar Se Hai...

1. Agar Aapko Electric Ka Bill Jama Karna Hai To Aapko Lambi Lino Me Khara Nahi Hona Parega, Isse Aapka Kafi Time Kill Hone Se Bach Jayega.
2. Aapko Saririk  Mehnat Nahi Karni Paregi Jisse Ki Aap Apni Enargy Bacha Sakte Hai.
3. Aapko Kishi Ke Upar Depend Nahi Rahna Parega Ki Koi Mera Ye Kaam kar De.
4. Aapko Iske Badle Me Cashback Bhi Mil Jayega. Ye Ammount Ke Persent Ke Hisab Se Bhi Ho Sakta Hai. Kisi Kisi Payment Par Aap Lagbhag 100 Rupay Cashback Bhi Paa Sakte Hai.

   To Dosto Ye Thi Paytm Ke Bare Me Iske Fayde ....


Paytm Par Account Kaise Banate Hai?

        Ab Main Aapko Bataunga Ki Ise Kaise Use Karenge  Paytm Par Account Kaise Banayenge?
Sabse Pahle Apne Mobile Ke Play Store Me Jayenge Aur Waha Par Type Karenge Paytm Aur Paytm Ko Download Kar Lenge Aur Fir Open Karenge. Fir Aapko In Steps Ko Follow Karne Hai Step By Step.


1. Ab Aapko Yaha Par Signup Ke Buton Par
 Click Karna Hai Kyoki Ap Naye Customer Hai.

2. Fir Apna Mobile Nomber Aur  Email Id
 Type Karen, Ye Email Id Optional Hai Ye Aap
 Dal Bhi Sakte Hai Ya Fir Nahi Bhi.

3. Phir Password Dale Yaad Rahe Password
 Strong Hona Chahiye Jisme Ki Alphabet Capital
 Letter,Smalla Letter Aur Numerical Ho.

4. Aur Fir Sign Up Ke Buton Par Click Kare.
 Fir Aapke Samne Mobile Verification Ka Page
 Khulega Ki Ye Nomber Aapka Hi Hai Ke Kisi
Aur Ka Fir Verification Ke Liye Apke Nomber Par
OTP One Time Password Ayega Aur Ye Autometically
 Login Ho jayega.
Aur Lo Apka Account Ban Gaya Bare Hi Simple Hi Steps Me.




   

Ab  Aapke Samne Ye Home Page Ayega Jisme Ki Aapko
 Sari Transaction Ke Bare Me Likhi Hogi Ki Aap Kya Kya
 Use Kar Sakte Ho Jaise Pay Ke Botton Par Click Karke
 Aap Paytm Wallet Se Kisi Ko Paise Bhej Sakte Ho. Ya Fir
 Mobile Recharge Kar Sakte Ho Money Add Kar Sakte Ho,
 Dth Recharge Kar Sakte Ho Movie Ticket, Rail Ticket,
Flight Ticket Aadi Book Kar Sakte Ho Aadi.

Paytm Me Rupay Kaise Add Kare?

Ab Main Apko Bataunga Ki Aap Apne Bank Account Se Isme Rupaye Kaise Add Kar Sakte Ho. To Sabse Pahle Aapko Yaha Par Jo Sabse Upar Dusre Nomber Par Add Money Ka Option Aa Raha Hai Uspar Click Kare.


1. Uske Bad Aapke Samne Ye Page Khulega.
Fir  Apko Kitna Paisa Add Karna Hai Ye Aaap Diside Kar Le Jaise Ki Aapko 500 Rupay Dalna Hai Apne Paytm Ke Wallet Me To Aap 500 Rupay Type Kare Aur Fir Add Money Par click Kare








    2. Fir Apke Samne Ye Page Khulega Jisme Ki
    Apko Apni Bank Detail Bharni Hai Jaise Ki Atm Me Jo
  16 Degit Ka Card Nomber Hota Hai Wo Dalna Hai.

3. Fir Aapko Apne ATM Ka Expiry Date Dalni Hai Jo Ki Aapke ATM Card Par Hi Likha Hota Hai.

 4. Aur Akhir Me Aaapko Cvv Nomber Dalni Hai Jo Ki ATM Ke Back Side Me Hoti Hai Anti 3 Digit Aapka CVV Nomber Hai Type Kare Aur Fir Pay Now Par Click Kar De.

5. Aur Ab Apke Bank Account Se Rupay Transfer Ho Kar Aapke Paytm Account Par Aa Jayenge Iska Massage Aapko Aa Jayega.
 Aur Ab Aap Ise Jaha Chahe Waha Par Kharch Kar Sakte Hai.

Aage Ke Post Me Main Aaapko Bataunga Ki Aapne Paytm Account Ae Aap Kaise Rupay Kama Sakte Hai.


Dosto Ummid Hai Ki Aapko Ye Post Accha Laga Hoga Ya Fir Aapke Man Me Koi Aur Sawal Ho To Apne Sawal Comment Box Me Type Kare Jisse Ki Main Aapke Sawalo Ka Jawab De Saku Thanks Dhanyawad.